kya bataen kidhar gae hain hum
kyā batā.eñ kidhar ga.e haiñ ham
un ke dil se utar ga.e haiñ ham
chhoḌ kar vo jahāñ ga.e ham ko
us jagah par Thahar ga.e haiñ ham
hijr kaaTā hai is qadar ham ne
ab mohabbat se Dar ga.e haiñ ham
ġhalatiyāñ aap kī bhī kuchh hoñgī
ghar agar chhoḌ kar ga.e haiñ ham
choT khaa.ī thī ek baar magar
umr bhar ko bikhar ga.e haiñ ham
'nūr' ab chhoḌ dī mohabbat bhī
un se kah do sudhar ga.e haiñ ham
kya bataen kidhar gae hain hum
un ke dil se utar gae hain hum
chhoD kar wo jahan gae hum ko
us jagah par Thahar gae hain hum
hijr kaTa hai is qadar hum ne
ab mohabbat se Dar gae hain hum
ghalatiyan aap ki bhi kuchh hongi
ghar agar chhoD kar gae hain hum
choT khai thi ek bar magar
umr bhar ko bikhar gae hain hum
'nur' ab chhoD di mohabbat bhi
un se kah do sudhar gae hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.