kya bataen tumhein kahan dil hai
kyā batā.eñ tumheñ kahāñ dil hai
roñgTā roñgTā yahāñ dil hai
le chuke dil to hañs ke farmāyā
kahiye ab āj-kal kahāñ dil hai
ek ġhuncha hai dekhne meñ magar
ġhaur kījiye to gulsitāñ dil hai
hai vo nāvak-fagan sharaf jis ke
nāvak-e-āh kī kamāñ dil hai
kya bataen tumhein kahan dil hai
rongTa rongTa yahan dil hai
le chuke dil to hans ke farmaya
kahiye ab aaj-kal kahan dil hai
ek ghuncha hai dekhne mein magar
ghaur kijiye to gulsitan dil hai
hai wo nawak-fagan sharaf jis ke
nawak-e-ah ki kaman dil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.