kya bataen zist mein kya kya hua
kyā batā.eñ ziist meñ kyā kyā huā
jo huā jaisā huā achchhā huā
jab lagā sab mushkileñ hal ho ga.iiñ
tab nayā ik mas.ala paidā huā
ham se jab pūchhā gayā koī savāl
keh dayā aisā huā vaisā huā
dil kisī sūrat bahaltā hī nahīñ
aaj mausam hai zarā badlā huā
kyā kahā maiñ aap kā huuñ ham-navā
aap ko shāyad koī dhokā huā
aa.ine meñ jo nazar aatā hai vo
aisā lagtā hai ki hai dekhā huā
kyā jigar meñ aag 'anjum' lag ga.ī
har taraf kyoñ hai dhuāñ phailā huā
kya bataen zist mein kya kya hua
jo hua jaisa hua achchha hua
jab laga sab mushkilen hal ho gain
tab naya ek masala paida hua
hum se jab puchha gaya koi sawal
keh daya aisa hua waisa hua
dil kisi surat bahalta hi nahin
aaj mausam hai zara badla hua
kya kaha main aap ka hun ham-nawa
aap ko shayad koi dhoka hua
aaine mein jo nazar aata hai wo
aisa lagta hai ki hai dekha hua
kya jigar mein aag 'anjum' lag gai
har taraf kyon hai dhuan phaila hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.