kya bataun be-tire kaisa raha
kyā batā.ūñ be-tire kaisā rahā
ye samajh mar mar ke maiñ jiitā rahā
chaudhvīñ kī raat meñ niklā jo chāñd
mujh ko pahroñ aap kā dhokā rahā
bhuul kar bhī tum ko kuchh aaya na dhyān
marne vaalā mar gayā jiitā rahā
kis liye auroñ se ho tum pūchhte
dekh lo ab aa ke mujh meñ kyā rahā
jī gayā to maiñ ye samjhā jī gayā
jiite jī kā rog thā jaatā rahā
kyā lagāyā haath dhaḌ se aap ne
paañv par sar kaT ke dhaḌ se aa rahā
rakh ga.e do phuul mere Dher par
mar ga.e par bojh ye un kā rahā
maiñ hī ik kāñTā thā so maiñ bhī nahīñ
sach hai ab kis kā unheñ khaTkā rahā
kya bataun be-tire kaisa raha
ye samajh mar mar ke main jita raha
chaudhwin ki raat mein nikla jo chand
mujh ko pahron aap ka dhoka raha
bhul kar bhi tum ko kuchh aaya na dhyan
marne wala mar gaya jita raha
kis liye auron se ho tum puchhte
dekh lo ab aa ke mujh mein kya raha
ji gaya to main ye samjha ji gaya
jite ji ka rog tha jata raha
kya lagaya hath dhaD se aap ne
panw par sar kaT ke dhaD se aa raha
rakh gae do phul mere Dher par
mar gae par bojh ye un ka raha
main hi ek kanTa tha so main bhi nahin
sach hai ab kis ka unhen khaTka raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.