kya bataun ke mere waste kya kya tum ho
kyā batā.ūñ ke mire vāste kyā kyā tum ho
merī ġhazleñ mirī nazmeñ mirā lahja tum ho
duniyā vāloñ se ta.alluq nahīñ rakkhā maiñ ne
mujh ko duniyā se ġharaz kyā mirī duniyā tum ho
tum ko is darja aqīdat se paḌhā hai jaise
āsmānoñ se jo utrā vo sahīfa tum ho
tum na hote to mirī ziist kaThin ho jaatī
mere jīvan ke añdhere meñ ujālā tum ho
kyuuñ masīhāoñ se marham kī talab ho mujh ko
sach to ye hai mire zaḳhmoñ kā mudāvā tum ho
merī shohrat kā vasīla hai tumhārī nisbat
merī pahchān ho tum merā havāla tum ho
apnī taqdīr ke likkhe pe hai īmān mirā
mere hamdam mirī taqdīr kā likkhā tum ho
kya bataun ke mere waste kya kya tum ho
meri ghazlen meri nazmen mera lahja tum ho
duniya walon se talluq nahin rakkha main ne
mujh ko duniya se gharaz kya meri duniya tum ho
tum ko is darja aqidat se paDha hai jaise
aasmanon se jo utra wo sahifa tum ho
tum na hote to meri zist kaThin ho jati
mere jiwan ke andhere mein ujala tum ho
kyun masihaon se marham ki talab ho mujh ko
sach to ye hai mere zaKHmon ka mudawa tum ho
meri shohrat ka wasila hai tumhaari nisbat
meri pahchan ho tum mera hawala tum ho
apni taqdir ke likkhe pe hai iman mera
mere hamdam meri taqdir ka likkha tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.