kya bataun ki main chup-chup sa kya sunta hun
kyā batā.ūñ ki maiñ chup-chup sā kyā suntā huuñ
apne andar se bikharne kī sadā suntā huuñ
sab ke so jaane pe aflāk se kyā kahtā hai
raat ko ek parinde kī sadā suntā huuñ
ik ajab sā hai sukūt aur sadā kā sañgam
mahviyat meñ kabhī ik aisī navā suntā huuñ
naaz hai mujh ko ki āġhāz-e-tajassus huuñ maiñ
mujh se pahle bhī koī thā ye maiñ kyā suntā huuñ
kabhī aatī nahīñ apne kahīñ hone kī sadā
gaah peḌoñ kī bhī sāñsoñ kī sadā suntā huuñ
aa rahī hai mujhe phir jaise sadā-e-atrāf
phir maiñ jaise koī paiġhām nayā suntā huuñ
shaam ko 'talḳh' ye fitrat se suḳhan karne meñ
kyā kahūñ chup kī sadā boltā yā suntā huuñ
kya bataun ki main chup-chup sa kya sunta hun
apne andar se bikharne ki sada sunta hun
sab ke so jaane pe aflak se kya kahta hai
raat ko ek parinde ki sada sunta hun
ek ajab sa hai sukut aur sada ka sangam
mahwiyat mein kabhi ek aisi nawa sunta hun
naz hai mujh ko ki aaghaz-e-tajassus hun main
mujh se pahle bhi koi tha ye main kya sunta hun
kabhi aati nahin apne kahin hone ki sada
gah peDon ki bhi sanson ki sada sunta hun
aa rahi hai mujhe phir jaise sada-e-atraf
phir main jaise koi paigham naya sunta hun
sham ko 'talKH' ye fitrat se suKHan karne mein
kya kahun chup ki sada bolta ya sunta hun
- Book : Waseela (Pg. 158)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.