kya bataun kisi ko hai kya dosti
kyā batā.ūñ kisī ko hai kyā dostī
hai ġham-e-zindagī kī davā dostī
nā-tavāñ ḳhud ko mahsūs jab bhī kiyā
tū ne baḳhshā mujhe hausla dostī
dekh kar jis ko lagtī hai duniyā hasīñ
hai mohabbat kā vo aa.ina dostī
raushnī kā safar yā añdhere kā ho
har safar meñ rahī ham-navā dostī
lākhoñ ehsāñ haiñ tere mirī zaat par
haq tirā kis tarah ho adā dostī
jis se 'ālam' mahaktā hai merā vajūd
ḳhushbūoñ kī hai aisī fazā dostī
kya bataun kisi ko hai kya dosti
hai gham-e-zindagi ki dawa dosti
na-tawan KHud ko mahsus jab bhi kiya
tu ne baKHsha mujhe hausla dosti
dekh kar jis ko lagti hai duniya hasin
hai mohabbat ka wo aaina dosti
raushni ka safar ya andhere ka ho
har safar mein rahi ham-nawa dosti
lakhon ehsan hain tere meri zat par
haq tera kis tarah ho ada dosti
jis se 'alam' mahakta hai mera wajud
KHushbuon ki hai aisi faza dosti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.