kya bataun main tumko kahani meri
kyā batā.ūñ maiñ tum ko kahānī mirī
zindagī khā ga.ī hai javānī mirī
tere ġham ne bigāḌā hai chehra mirā
saarī duniyā thī varna divānī mirī
mere siine pe kashtī chalāoge tum
tum ne dekhī kahāñ hai ravānī mirī
boltā hai mujhe yaad kartā nahīñ
paas rakhtā hai lekin nishānī mirī
merī nīñdoñ ko barbād kar ke 'shafīq'
chain se so rahī hai vo raanī mirī
kya bataun main tum ko kahani meri
zindagi kha gai hai jawani meri
tere gham ne bigaDa hai chehra mera
sari duniya thi warna diwani meri
mere sine pe kashti chalaoge tum
tum ne dekhi kahan hai rawani meri
bolta hai mujhe yaad karta nahin
pas rakhta hai lekin nishani meri
meri nindon ko barbaad kar ke 'shafiq'
chain se so rahi hai wo rani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.