kya bataun mujhe kya yaad hai kya yaad nahin
kyā batā.ūñ mujhe kyā yaad hai kyā yaad nahīñ
itne ġham haiñ ki ġham-hosh zarā yaad nahīñ
is gunahgār-e-mohabbat pe ḳhudā rahm kare
jis ko kuchh terī mohabbat ke sivā yaad nahīñ
merī dīvāna mizājī pe hai ilzām magar
apnī begāna-nigāhī kī adā yaad nahīñ
tum ne kuchh mujh se kahā thā dam-e-ruḳhsat ik din
ab ḳhudā jaane tumheñ yaad hai yā yaad nahīñ
yā vo aalam thā ki thī sāmne manzil 'rāhī'
yā ye hālat hai ḳhud apnā patā yaad nahīñ
kya bataun mujhe kya yaad hai kya yaad nahin
itne gham hain ki gham-hosh zara yaad nahin
is gunahgar-e-mohabbat pe KHuda rahm kare
jis ko kuchh teri mohabbat ke siwa yaad nahin
meri diwana mizaji pe hai ilzam magar
apni begana-nigahi ki ada yaad nahin
tum ne kuchh mujh se kaha tha dam-e-ruKHsat ek din
ab KHuda jaane tumhein yaad hai ya yaad nahin
ya wo aalam tha ki thi samne manzil 'rahi'
ya ye haalat hai KHud apna pata yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.