kya bataun tumhein ki kya hun main
kyā batā.ūñ tumheñ ki kyā huuñ maiñ
bhar chuke zaḳhm kī davā huuñ maiñ
jis kī ḳhvāhish hī gumrahī Thahrī
ḳhvāhishoñ kā vo qāfila huuñ maiñ
kyoñ mujhe gher kar ke baiThe ho
ai ġhamo aadmī burā huuñ maiñ
ye jo badnām ḳhat haiñ in kā hī
log kahte haiñ hāshiya huuñ maiñ
āḳhirī harf huuñ tabassum kā
aur ashkoñ kī ibtidā huuñ maiñ
ye mirī zindagī batā.egī
kitnī qistoñ meñ kab marā huuñ maiñ
aaj kī shaam ghar na lauTūñgā
sub.h aksar ye sochtā huuñ maiñ
saarī duniyā ko hai ḳhayāl mirā
kis taġhāful kā silsila huuñ maiñ
jis kī ḳhud kī hī koī Thor nahīñ
ek aisā hī aasrā huuñ maiñ
vo jo chīḳhoñ meñ ho ga.ī tabdīl
gūñgī bahrī vahī sadā huuñ maiñ
us kā lahja akhar rahā hai kyoñ
kyā use chāhne lagā huuñ maiñ
jab se ammāñ ne ruḳhsatī lī hai
chāñd ko pahroñ dekhtā huuñ maiñ
kyoñ hai ujḌā huā mirā 'sāhil'
kis samundar kī badduā huuñ maiñ
kya bataun tumhein ki kya hun main
bhar chuke zaKHm ki dawa hun main
jis ki KHwahish hi gumrahi Thahri
KHwahishon ka wo qafila hun main
kyon mujhe gher kar ke baiThe ho
ai ghamo aadmi bura hun main
ye jo badnam KHat hain in ka hi
log kahte hain hashiya hun main
aaKHiri harf hun tabassum ka
aur ashkon ki ibtida hun main
ye meri zindagi bataegi
kitni qiston mein kab mara hun main
aaj ki sham ghar na lauTunga
subh aksar ye sochta hun main
sari duniya ko hai KHayal mera
kis taghaful ka silsila hun main
jis ki KHud ki hi koi Thor nahin
ek aisa hi aasra hun main
wo jo chiKHon mein ho gai tabdil
gungi bahri wahi sada hun main
us ka lahja akhar raha hai kyon
kya use chahne laga hun main
jab se amman ne ruKHsati li hai
chand ko pahron dekhta hun main
kyon hai ujDa hua mera 'sahil'
kis samundar ki baddua hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.