kya bataun zindagi mein kis qadar tanha raha
kyā batā.ūñ zindagī meñ kis qadar tanhā rahā
qāfiloñ ke saath rah kar bhī safar tanhā rahā
ab kisī se dostī hotī nahīñ hai is liye
dostoñ ko aazmā kar vaqt par tanhā rahā
yā-ḳhudā patthar banā dil ke mire ehsās ko
aa.ine kī shakl meñ to umr-bhar tanhā rahā
do diloñ ke pyaar kā anjām kuchh aisā huā
haar kar maiñ ḳhush rahā vo jiit kar tanhā rahā
'dev' un ke rūThne se raat guzrī is tarah
niiñd un ko bhī na aa.ī maiñ agar tanhā rahā
kya bataun zindagi mein kis qadar tanha raha
qafilon ke sath rah kar bhi safar tanha raha
ab kisi se dosti hoti nahin hai is liye
doston ko aazma kar waqt par tanha raha
ya-KHuda patthar bana dil ke mere ehsas ko
aaine ki shakl mein to umr-bhar tanha raha
do dilon ke pyar ka anjam kuchh aisa hua
haar kar main KHush raha wo jit kar tanha raha
'dew' un ke ruThne se raat guzri is tarah
nind un ko bhi na aai main agar tanha raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.