kya batlaun kaise din main kaT raha hun
kyā batlā.ūñ kaise din maiñ kaaT rahā huuñ
motī huuñ aur raste meñ bekār paḌā huuñ
lambī lambī caroñ vāloñ se achchhā huuñ
rūkhī-sūkhī jo miltī hai khā letā huuñ
tanhā.ī meñ aksar maiñ sochā kartā huuñ
sūraj chāñd sitāre kyā haiñ aur maiñ kyā huuñ
bādal parbat dariyā chashme jangal sahrā
kyuuñ bhāte haiñ maiñ in sab kā kyā lagtā huuñ
aag aur paanī meñ kahte haiñ bair baḌā hai
lekin maiñ to us se mil kar ḳhush hotā huuñ
itnī nafrat yaaro mujh se kyuuñ karte ho
maiñ bhī gulshan kā ik gul huuñ tum jaisā huuñ
mere chāhne vāloñ kā bhī ik halqa hai
maiñ bhī gulzāroñ kī vaadī kā jharnā huuñ
mere chāl-chalan se bhī kuchh hāsil kar lo
maiñ bhī ik autār kā sā darja rakhtā huuñ
ek hī manzar ne āñkhoñ ko Dhāñp rakhā hai
roz-e-avval se ye sūraj dekh rahā huuñ
ḳhud se jab bāteñ karne ko jī chāhā hai
ghar se uTh kar nadī kināre jā baiThā huuñ
mere haal se duniyā kā andāza kar lo
maiñ phaldār shajar kā ik piilā pattā huuñ
dhyān ko tanhā.ī ke ghar kā peḌ samjhiye
maiñ bhī us ke saa.e meñ barsoñ baiThā huuñ
jaane kis pal kī ḳhushbū hai mere aage
jaane kis duniyā ke pīchhe dauḌ rahā huuñ
kaise kaise log guzarte haiñ nazroñ se
saarā din maiñ kaise kaise dukh sahtā huuñ
mere ḳhadd-o-ḳhāl ko dekho aur pahchāno
maiñ bhī apnī 'irfānī kā katba huuñ
bas ke pahiye ḳhaak uḌā jaate haiñ mujh par
vo kyā jāneñ kaun huuñ aur kis kā chehra huuñ
atā-patā kyā pūchh rahe ho merā logo
rāmpūrī shā'ir huuñ aur ġhazleñ kahtā huuñ
kya batlaun kaise din main kaT raha hun
moti hun aur raste mein bekar paDa hun
lambi lambi caron walon se achchha hun
rukhi-sukhi jo milti hai kha leta hun
tanhai mein aksar main socha karta hun
suraj chand sitare kya hain aur main kya hun
baadal parbat dariya chashme jangal sahra
kyun bhate hain main in sab ka kya lagta hun
aag aur pani mein kahte hain bair baDa hai
lekin main to us se mil kar KHush hota hun
itni nafrat yaro mujh se kyun karte ho
main bhi gulshan ka ek gul hun tum jaisa hun
mere chahne walon ka bhi ek halqa hai
main bhi gulzaron ki wadi ka jharna hun
mere chaal-chalan se bhi kuchh hasil kar lo
main bhi ek autar ka sa darja rakhta hun
ek hi manzar ne aankhon ko Dhanp rakha hai
roz-e-awwal se ye suraj dekh raha hun
KHud se jab baaten karne ko ji chaha hai
ghar se uTh kar nadi kinare ja baiTha hun
mere haal se duniya ka andaza kar lo
main phaldar shajar ka ek pila patta hun
dhyan ko tanhai ke ghar ka peD samjhiye
main bhi us ke sae mein barson baiTha hun
jaane kis pal ki KHushbu hai mere aage
jaane kis duniya ke pichhe dauD raha hun
kaise kaise log guzarte hain nazron se
sara din main kaise kaise dukh sahta hun
mere KHadd-o-KHal ko dekho aur pahchano
main bhi apni 'irfani ka katba hun
bas ke pahiye KHak uDa jate hain mujh par
wo kya jaanen kaun hun aur kis ka chehra hun
ata-pata kya puchh rahe ho mera logo
rampuri sha'ir hun aur ghazlen kahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.