kya buri tarah bhaun maTakti hai
kyā burī tarah bhauñ maTaktī hai
ki mire dil meñ aa khaTaktī hai
zulf kī shaan mukh upar dekho
ki goyā arsh meñ laTaktī hai
ab talak garche mar gayā farhād
ruuh patthar siiñ sar laTaktī hai
dil kabāboñ meñ kaun kachchā hai
ishq kī aag kyuuñ chaTaktī hai
'ābrū' jā pahuñch ki pyāsī zulf
nāganī kī tarah bhaTaktī hai
kya buri tarah bhaun maTakti hai
ki mere dil mein aa khaTakti hai
zulf ki shan mukh upar dekho
ki goya arsh mein laTakti hai
ab talak garche mar gaya farhad
ruh patthar sin sar laTakti hai
dil kababon mein kaun kachcha hai
ishq ki aag kyun chaTakti hai
'abru' ja pahunch ki pyasi zulf
nagani ki tarah bhaTakti hai
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 239)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.