kya chiz hai uzr-e-lab-e-izhaar ka saya
kyā chiiz hai uzr-e-lab-e-iz.hār kā saaya
iqrār kā saaya kabhī inkār kā saaya
taqdīr gulistāñ kī badal detā hai vo phuul
paḌ jaatā hai jis phuul pe talvār kā saaya
dīvār se dīvār kī duurī are tauba
paḌtā nahīñ dīvār pe dīvār kā saaya
ehsās kī uñglī se Tapakte haiñ sitāre
chubhtā hai mire zehn meñ jab ḳhaar kā saaya
'qaisar' mire jazbāt meñ naġhmoñ kī lachak hai
hai fan pe mire gesū-e-ḳhamdār kā saaya
kya chiz hai uzr-e-lab-e-izhaar ka saya
iqrar ka saya kabhi inkar ka saya
taqdir gulistan ki badal deta hai wo phul
paD jata hai jis phul pe talwar ka saya
diwar se diwar ki duri are tauba
paDta nahin diwar pe diwar ka saya
ehsas ki ungli se Tapakte hain sitare
chubhta hai mere zehn mein jab KHar ka saya
'qaisar' mere jazbaat mein naghmon ki lachak hai
hai fan pe mere gesu-e-KHamdar ka saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.