kya de gai fareb kisi ki nazar mujhe
kyā de ga.ī fareb kisī kī nazar mujhe
duniyā kā hosh hai na kuchh apnī ḳhabar mujhe
jiine kī aarzū hai na marne kī aarzū
aisā diyā hai ishq ne ik dard-e-sar mujhe
muusā ga.e the tuur pe jalve ko dekhne
aatā hai chār-sū tirā jalva nazar mujhe
jab tak shu.ūr-o-aql mire saath meñ rahe
lagtī thī rāh-e-ishq bahut pur-ḳhatar mujhe
vo ham-nashīñ thā merā maiñ thā us kā ham-nashīñ
ab kyoñ ḳhafā hai vo nahīñ us kī ḳhabar mujhe
allāh re ye husn-e-tasavvur kī vus.ateñ
jis samt maiñ ne dekhā vo aa.e nazar mujhe
jaanā hai mujh ko duur abhī aur ai 'azīz'
bilkul ravā nahīñ hai kahīñ bhī hazar mujhe
kya de gai fareb kisi ki nazar mujhe
duniya ka hosh hai na kuchh apni KHabar mujhe
jine ki aarzu hai na marne ki aarzu
aisa diya hai ishq ne ek dard-e-sar mujhe
musa gae the tur pe jalwe ko dekhne
aata hai chaar-su tera jalwa nazar mujhe
jab tak shuur-o-aql mere sath mein rahe
lagti thi rah-e-ishq bahut pur-KHatar mujhe
wo ham-nashin tha mera main tha us ka ham-nashin
ab kyon KHafa hai wo nahin us ki KHabar mujhe
allah re ye husn-e-tasawwur ki wusaten
jis samt main ne dekha wo aae nazar mujhe
jaana hai mujh ko dur abhi aur ai 'aziz'
bilkul rawa nahin hai kahin bhi hazar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.