kya dekhen hum suraj chand sitaron mein
kyā dekheñ ham sūraj chāñd sitāroñ meñ
un kā chehra raushan hai añdhiyāroñ meñ
roz tumhārī ḳhabreñ paḌhte rahte haiñ
tum to bas ab milte ho aḳhbāroñ meñ
darvāze par naam tumhārā likkhā hai
naqsh tumhāre sabt hue dīvāroñ meñ
bachche ḳhauf se ghar se bāhar na nikleñ
dhuul uḌtī hai galiyoñ meñ chaubāroñ meñ
apne jaisī faanī chiiz banātā hai
ik ye kamī hai insāñ ke shahkāroñ meñ
peshānī par daaġh numāyāñ rahtā hai
sajde karte phirte haiñ darbāroñ meñ
ilm hunar aur fan to ab matrūk hue
khoTe sikke chalte haiñ bāzāroñ meñ
ahd-e-nau kī 'nuzhat' ham buniyād rakheñ
fikr na.ī ab shāmil ho fan-pāroñ meñ
kya dekhen hum suraj chand sitaron mein
un ka chehra raushan hai andhiyaron mein
roz tumhaari KHabren paDhte rahte hain
tum to bas ab milte ho aKHbaron mein
darwaze par nam tumhaara likkha hai
naqsh tumhaare sabt hue diwaron mein
bachche KHauf se ghar se bahar na niklen
dhul uDti hai galiyon mein chaubaron mein
apne jaisi fani chiz banata hai
ek ye kami hai insan ke shahkaron mein
peshani par dagh numayan rahta hai
sajde karte phirte hain darbaron mein
ilm hunar aur fan to ab matruk hue
khoTe sikke chalte hain bazaron mein
ahd-e-nau ki 'nuzhat' hum buniyaad rakhen
fikr nai ab shamil ho fan-paron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.