kya dekhta hai haal ke manzar idhar bhi dekh
kyā dekhtā hai haal ke manzar idhar bhī dekh
maazī ke naqsh yaad kī dīvār par bhī dekh
dekhe haiñ mere aib to merā hunar bhī dekh
saudā hai jis meñ apnā anā kā vo sar bhī dekh
le kaam mujh se saḳht uḌānoñ kā tū magar
pahle mirī nigāh mire bāl-o-par bhī dekh
chehre ke rañg-o-nūr ko merā hunar samajh
mujh ko mirī nazar se kabhī jhāñk kar bhī dekh
ik baar aur bach ke zamāne kī aañkh se
huuñ dekhne kī chiiz to bār-e-digar bhī dekh
kya dekhta hai haal ke manzar idhar bhi dekh
mazi ke naqsh yaad ki diwar par bhi dekh
dekhe hain mere aib to mera hunar bhi dekh
sauda hai jis mein apna ana ka wo sar bhi dekh
le kaam mujh se saKHt uDanon ka tu magar
pahle meri nigah mere baal-o-par bhi dekh
chehre ke rang-o-nur ko mera hunar samajh
mujh ko meri nazar se kabhi jhank kar bhi dekh
ek bar aur bach ke zamane ki aankh se
hun dekhne ki chiz to bar-e-digar bhi dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.