kya DhunDte ho ab jaras-e-raftagan ki dhul
kyā DhūñDte ho ab jaras-e-raftagāñ kī dhuul
ik kārvāñ ke saath ga.ī kārvāñ kī dhuul
kal tak the merā qāfila ham jis ke dosto
anjām-e-kār ab haiñ usī kārvāñ kī dhuul
madfan tirī galī meñ banāne chale to haiñ
ye āñdhiyāñ batā.eñgī ham haiñ kahāñ kī dhuul
rah meñ ye kaun ābla-pāyān-e-shauq haiñ
muḌ muḌ ke dekhtī hai jinheñ kārvāñ kī dhuul
larzāñ haiñ bām-o-dar pe ga.ī mahfiloñ ke saa.e
āñkhoñ meñ uḌ rahī hai dayār-e-butāñ kī dhuul
kaise tumhārī pyaas bujhā.eñ musāfiro
ham to haiñ ek chashma-e-reg-e-ravāñ kī dhuul
dāman meñ kaun bāñdhe 'musavvir' hameñ yahāñ
gard-e-mazār ham na kisī āstāñ kī dhuul
kya DhunDte ho ab jaras-e-raftagan ki dhul
ek karwan ke sath gai karwan ki dhul
kal tak the mera qafila hum jis ke dosto
anjam-e-kar ab hain usi karwan ki dhul
madfan teri gali mein banane chale to hain
ye aandhiyan bataengi hum hain kahan ki dhul
rah mein ye kaun aabla-payan-e-shauq hain
muD muD ke dekhti hai jinhen karwan ki dhul
larzan hain baam-o-dar pe gai mahfilon ke sae
aankhon mein uD rahi hai dayar-e-butan ki dhul
kaise tumhaari pyas bujhaen musafiro
hum to hain ek chashma-e-reg-e-rawan ki dhul
daman mein kaun bandhe 'musawwir' hamein yahan
gard-e-mazar hum na kisi aastan ki dhul
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 42)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.