kya dikhata hai ye safar dekho
kyā dikhātā hai ye safar dekho
ab kahāñ ruktī hai nazar dekho
vaqt har aa.ine kā dushman hai
phir bhī kuchh roz ban-sañvar dekho
ḳhud ko gar dekho ġhair āñkhoñ se
'umr ne kyā kiyā asar dekho
raat ke baa'd raat aa.egī
dil se jaatā hai kab ye Dar dekho
aa.e bhī aur ga.e bhī ḳhālī haath
chhoḌo duniyā ko aur ghar dekho
kya dikhata hai ye safar dekho
ab kahan rukti hai nazar dekho
waqt har aaine ka dushman hai
phir bhi kuchh roz ban-sanwar dekho
KHud ko gar dekho ghair aankhon se
'umr ne kya kiya asar dekho
raat ke ba'd raat aaegi
dil se jata hai kab ye Dar dekho
aae bhi aur gae bhi KHali hath
chhoDo duniya ko aur ghar dekho
- Book : Soch Samajh (Pg. 18)
- Author : Salman Akhtar
- Publication : Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.