kya dil hai agar jalwa-gah-e-yar na howe
kyā dil hai agar jalva-gah-e-yār na hove
hai tuur se kyā kaam jo dīdār na hove
kuchh rañg nahīñ naġhma-o-āhañg meñ us ke
bulbul jo bahārāñ meñ giraftār na hove
dil jal jo gayā ḳhuub huā soḳhta behtar
vo jins koī jis kā ḳharīdār na hove
shamshād ko deve hai qazā vaar ke tujh par
jo jaama tire qad pe sazā-vār na hove
niiñ bāġh-e-mohabbat meñ 'yaqīñ' us ko kahīñ jā
jis dil meñ ki dāġhoñ satī gulzār na hove
kya dil hai agar jalwa-gah-e-yar na howe
hai tur se kya kaam jo didar na howe
kuchh rang nahin naghma-o-ahang mein us ke
bulbul jo bahaaran mein giraftar na howe
dil jal jo gaya KHub hua soKHta behtar
wo jins koi jis ka KHaridar na howe
shamshad ko dewe hai qaza war ke tujh par
jo jama tere qad pe saza-war na howe
nin bagh-e-mohabbat mein 'yaqin' us ko kahin ja
jis dil mein ki daghon sati gulzar na howe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.