kya dilkashi-e-gesu-e-jaanan hai aaj-kal
kyā dilkashī-e-gesū-e-jānāñ hai āj-kal
duniyā ba-qaid-e-kufr musalmāñ hai āj-kal
ḳhud husn inqalāb-ba-dāmāñ hai āj-kal
hāthoñ meñ un ke merā girebāñ hai āj-kal
taare haiñ aab aab to ġhunche araq araq
apne kiye pe koī pashemāñ hai āj-kal
insān ko navāze jo insān kī tarah
aisā bhī koī duniyā meñ insāñ hai āj-kal
nādāñ ye iḳhtiyār ba anjām jabr hai
gulshan bhī apne vaqt kā zindāñ hai āj-kal
ḳhāliq hai aap apnī pareshāniyoñ kā vo
duniyā meñ jo bashar bhī pareshāñ hai āj-kal
duniyā-e-husn-e-zan se alag ho ke dekhiye
vaj.h-e-sukūñ chaman hai na zindāñ hai āj-kal
barbādiyāñ bhī tishna-e-takmīl haiñ 'shifā'
gardish meñ ḳhud bhī gardish-e-daurāñ hai āj-kal
kya dilkashi-e-gesu-e-jaanan hai aaj-kal
duniya ba-qaid-e-kufr musalman hai aaj-kal
KHud husn inqalab-ba-daman hai aaj-kal
hathon mein un ke mera gireban hai aaj-kal
tare hain aab aab to ghunche araq araq
apne kiye pe koi pasheman hai aaj-kal
insan ko nawaze jo insan ki tarah
aisa bhi koi duniya mein insan hai aaj-kal
nadan ye iKHtiyar ba anjam jabr hai
gulshan bhi apne waqt ka zindan hai aaj-kal
KHaliq hai aap apni pareshaniyon ka wo
duniya mein jo bashar bhi pareshan hai aaj-kal
duniya-e-husn-e-zan se alag ho ke dekhiye
wajh-e-sukun chaman hai na zindan hai aaj-kal
barbaadiyan bhi tishna-e-takmil hain 'shifa'
gardish mein KHud bhi gardish-e-dauran hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.