kya din the gulabon se shanasai thi apni
kyā din the gulāboñ se shanāsā.ī thī apnī
ātish kā javāñ honā bhī rusvā.ī thī apnī
mahtāb kī sāñsoñ meñ tavāzun na rahā thā
is chāñd ne ik raat jo chamkā.ī thī apnī
ye ishq to lagtā hai ki aaseb hai koī
ham ne to tabī.at zarā bahlā.ī thī apnī
ab DhūñD ke laa.e koī aur aa.ina jis meñ
sūrat hameñ ik roz nazar aa.ī thī apnī
jaate to kahāñ jā ke sukūñ DhūñDte 'fāḳhir'
mahfil koī apnī thī na tanhā.ī thī apnī
kya din the gulabon se shanasai thi apni
aatish ka jawan hona bhi ruswai thi apni
mahtab ki sanson mein tawazun na raha tha
is chand ne ek raat jo chamkai thi apni
ye ishq to lagta hai ki aaseb hai koi
hum ne to tabiat zara bahlai thi apni
ab DhunD ke lae koi aur aaina jis mein
surat hamein ek roz nazar aai thi apni
jate to kahan ja ke sukun DhunDte 'faKHir'
mahfil koi apni thi na tanhai thi apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.