kya gham hai agar be-sar-o-saman bahut hain
kyā ġham hai agar be-sar-o-sāmān bahut haiñ
is shahr meñ kirdār ke dhanvān bahut haiñ
chāho to taġhāful ke na.e tiir chalāo
TuuTe hue dil meñ abhī armān bahut haiñ
duzdīda-nigāhī ye hayā-bār tabassum
is bazm meñ luT jaane ke imkān bahut haiñ
kho jaa.eñ na ye gauhar-e-nāyāb-e-ġham-e-ishq
bāzār-e-mohabbat se ye anjān bahut haiñ
jo zaḳhm bhī tū ne diye taaza haiñ abhī tak
ai gardish-e-daurāñ tire ehsān bahut haiñ
tai karke zamāne meñ taraqqī ke manāzil
kyā baat hai ham log pareshān bahut haiñ
har daaġh siyāsat ke safedī meñ chhupā.e
ye rāh-numā sāhib-e-īmān bahut haiñ
be-ḳhauf siyāsat ke pas-e-parda haiñ mujrim
kyā bandisheñ qānūn kī be-jān bahut haiñ
ham hausla-sāmāñ hue kyā shiddat-e-ġham meñ
arbāb-e-jahāñ dekh ke hairān bahut haiñ
ab aslaha-sāzī pe hai tāqat kā tavāzun
ye fitna-o-shar ke liye sāmān bahut haiñ
barsoñ se 'tarab' rishtoñ pe jo barf jamī hai
ab us ke pighal jaane ke imkān bahut haiñ
kya gham hai agar be-sar-o-saman bahut hain
is shahr mein kirdar ke dhanwan bahut hain
chaho to taghaful ke nae tir chalao
TuTe hue dil mein abhi arman bahut hain
duzdida-nigahi ye haya-bar tabassum
is bazm mein luT jaane ke imkan bahut hain
kho jaen na ye gauhar-e-nayab-e-gham-e-ishq
bazar-e-mohabbat se ye anjaan bahut hain
jo zaKHm bhi tu ne diye taza hain abhi tak
ai gardish-e-dauran tere ehsan bahut hain
tai karke zamane mein taraqqi ke manazil
kya baat hai hum log pareshan bahut hain
har dagh siyasat ke safedi mein chhupae
ye rah-numa sahib-e-iman bahut hain
be-KHauf siyasat ke pas-e-parda hain mujrim
kya bandishen qanun ki be-jaan bahut hain
hum hausla-saman hue kya shiddat-e-gham mein
arbab-e-jahan dekh ke hairan bahut hain
ab aslaha-sazi pe hai taqat ka tawazun
ye fitna-o-shar ke liye saman bahut hain
barson se 'tarab' rishton pe jo barf jami hai
ab us ke pighal jaane ke imkan bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.