kya gham hai agar wo mera diwana nahin hai
kyā ġham hai agar vo mirā dīvāna nahīñ hai
dil merā bhī ābād hai vīrāna nahīñ hai
patthar ko basā.ūñgā nahīñ is meñ kabhī maiñ
dil merā haram hai koī but-ḳhāna nahīñ hai
jhuktā hai tū mahbūb kī dahlīz pe kyūñkar
ye dar to mire sar dar-e-jānāna nahīñ hai
vo āh-o-fuġhāñ terī bhalā kyoñ hī sunegā
bismil tirā andāz ġharībāna nahīñ hai
tū bol ki ho kaise ḳhudā tujh se muḳhātib
guftār tirī tarz-e-kalīmāna nahīñ hai
vo sham.a kare faḳhr bhalā ḳhud pe to kaise
dahlīz pe jis kī koī parvāna nahīñ hai
botal ko liye aur kahāñ phirtā rahūñ maiñ
saaqī tire maiḳhāne meñ paimāna nahīñ hai
ḳhvāboñ meñ 'zuhaib' aatā hai mere vo barābar
aisā nahīñ us se mirā yārāna nahīñ hai
kya gham hai agar wo mera diwana nahin hai
dil mera bhi aabaad hai virana nahin hai
patthar ko basaunga nahin is mein kabhi main
dil mera haram hai koi but-KHana nahin hai
jhukta hai tu mahbub ki dahliz pe kyunkar
ye dar to mere sar dar-e-jaanana nahin hai
wo aah-o-fughan teri bhala kyon hi sunega
bismil tera andaz gharibana nahin hai
tu bol ki ho kaise KHuda tujh se muKHatib
guftar teri tarz-e-kalimana nahin hai
wo shama kare faKHr bhala KHud pe to kaise
dahliz pe jis ki koi parwana nahin hai
botal ko liye aur kahan phirta rahun main
saqi tere maiKHane mein paimana nahin hai
KHwabon mein 'zuhaib' aata hai mere wo barabar
aisa nahin us se mera yarana nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.