kya gham ke sath hum jien aur kya KHushi ke sath
kyā ġham ke saath ham ji.eñ aur kyā ḳhushī ke saath
jo dil ko de sukūn guzar ho usī ke saath
kāġhaz kī naav merī palaT kar na aa sakī
bachpan meñ merā dil bhī bahā thā usī ke saath
āñkhoñ ke sote ḳhushk hue raushnī ga.ī
lekin nazar kā rishta vahī hai namī ke saath
kyā maut hī ilaaj hai ġham se najāt kā
kyoñ zindagī kī banñe lagī ḳhud-kushī ke saath
logoñ ko kyā paḌī hai jo pūchheñ kisī se haal
har aadmī magan hai ġham-e-zindagī ke saath
jin ke nasīb meñ nahīñ duniyā kī rāhateñ
dekho to kaise jiite haiñ vo har kamī ke saath
majbūroñ bekasoñ kī yahāñ fikr hai kise
be-maut kitne marte haiñ fāqa-kashī ke saath
fursat hai kis ke paas jo soche ye baiTh kar
kis kī banī kisī se yā bigḌī kisī ke saath
rishtoñ kī bhiiḌ meñ jo maiñ sābit-qadam rahī
dil ke tamām jabr sahe ḳhush-dilī ke saath
laa.eñ kahāñ se DhūñD ke apnā kaheñ jise
raste take haiñ ham ne bhī āshuftagī ke saath
'shahnāz' apne lahje meñ narmī ḳhulūs rakh
kar baat har kisī se bahut ājizī ke saath
kya gham ke sath hum jien aur kya KHushi ke sath
jo dil ko de sukun guzar ho usi ke sath
kaghaz ki naw meri palaT kar na aa saki
bachpan mein mera dil bhi baha tha usi ke sath
aankhon ke sote KHushk hue raushni gai
lekin nazar ka rishta wahi hai nami ke sath
kya maut hi ilaj hai gham se najat ka
kyon zindagi ki banne lagi KHud-kushi ke sath
logon ko kya paDi hai jo puchhen kisi se haal
har aadmi magan hai gham-e-zindagi ke sath
jin ke nasib mein nahin duniya ki rahaten
dekho to kaise jite hain wo har kami ke sath
majburon bekason ki yahan fikr hai kise
be-maut kitne marte hain faqa-kashi ke sath
fursat hai kis ke pas jo soche ye baiTh kar
kis ki bani kisi se ya bigDi kisi ke sath
rishton ki bhiD mein jo main sabit-qadam rahi
dil ke tamam jabr sahe KHush-dili ke sath
laen kahan se DhunD ke apna kahen jise
raste take hain hum ne bhi aashuftagi ke sath
'shahnaz' apne lahje mein narmi KHulus rakh
kar baat har kisi se bahut aajizi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.