kya gharaz is se kisi ko kitna hai dil-gir kaun
kyā ġharaz is se kisī ko kitnā hai dil-gīr kaun
dekhnā hai ye pahan kar mar gayā zanjīr kaun
log sharmāte haiñ kyoñ sar par use rakhte hue
le gayā hai chhīn kar dastār kī tauqīr kaun
peT kī majbūriyāñ fankār tak bhī aa ga.iiñ
varna dilbar kī banā kar bechtā tasvīr kaun
merī āñkhoñ ke darīche ḳhuun meñ tar ho ga.e
ḳhuun meñ tar ḳhvāb kī batlā.egā ta.abīr kaun
is farishtoñ ke jahāñ meñ sirf maiñ insān huuñ
hotā phir mere alāva qā.il-e-taqsīr kaun
har kisī ko dastaras hai gardish-e-ayyām tak
maut ke andhe safar kī khīñchtā tasvīr kaun
kis ko fursat hai yahāñ ḳhud-ehtisābī ke liye
dekhtā hai 'jān' apnī aañkh kā shahtīr kaun
kya gharaz is se kisi ko kitna hai dil-gir kaun
dekhna hai ye pahan kar mar gaya zanjir kaun
log sharmate hain kyon sar par use rakhte hue
le gaya hai chhin kar dastar ki tauqir kaun
peT ki majburiyan fankar tak bhi aa gain
warna dilbar ki bana kar bechta taswir kaun
meri aankhon ke dariche KHun mein tar ho gae
KHun mein tar KHwab ki batlaega tabir kaun
is farishton ke jahan mein sirf main insan hun
hota phir mere alawa qail-e-taqsir kaun
har kisi ko dastaras hai gardish-e-ayyam tak
maut ke andhe safar ki khinchta taswir kaun
kis ko fursat hai yahan KHud-ehtisabi ke liye
dekhta hai 'jaan' apni aankh ka shahtir kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.