kya ghazab hai ye bulbul ek qahr sa Dhate hain
kya ghazab hai ye bulbul ek qahr sa Dhate hain
Yousuf Bin Mohammad
MORE BYYousuf Bin Mohammad
kyā ġhazab hai ye bulbul ik qahr sā Dhāte haiñ
hijr meñ visāloñ ke giit gungunāte haiñ
ham ne tere basne ko dil mahal banāyā thā
ab vīrān ghar ke dīvār-o-dar ko Dhāte haiñ
bādbāñ hamārā jo āñdhiyoñ meñ khultā hai
nāḳhudā safīne meñ ġharq ḳhud ko paate haiñ
ab kahāñ se dilbar kā mere dil pe jalva ho
ā.īna ye dhuñdlā hai aks kyā dikhāte haiñ
umr ik guzar jaa.e tab koī shikāyat ho
sabr kar ai dil mere dair se vo aate haiñ
un kī dil-parastī kab mere dil ko bhā jaatī
apnī be-niyāzī se dil mirā lubhāte haiñ
kaisī ye ġhazal-ḳhvānī kaun hai suḳhan-ārā
josh meñ gadā kyā kuchh ḳhud se budbudāte haiñ
kya ghazab hai ye bulbul ek qahr sa Dhate hain
hijr mein visalon ke git gungunate hain
hum ne tere basne ko dil mahal banaya tha
ab viran ghar ke diwar-o-dar ko Dhate hain
baadban hamara jo aandhiyon mein khulta hai
naKHuda safine mein gharq KHud ko pate hain
ab kahan se dilbar ka mere dil pe jalwa ho
aaina ye dhundla hai aks kya dikhate hain
umr ek guzar jae tab koi shikayat ho
sabr kar ai dil mere dair se wo aate hain
un ki dil-parasti kab mere dil ko bha jati
apni be-niyazi se dil mera lubhate hain
kaisi ye ghazal-KHwani kaun hai suKHan-ara
josh mein gada kya kuchh KHud se budbudate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.