kya ghazab tu ne ai bahaar kiya
kyā ġhazab tū ne ai bahār kiyā
pattī pattī ko be-qarār kiyā
ab to sach bolne kī rasm nahīñ
kis ne phir ehtimām-e-dār kiyā
ātish-e-dard meñ kamī na huī
laakh āñkhoñ ko ashk-bār kiyā
raushnī kī talāsh meñ ham ne
bārhā zulmatoñ se pyaar kiyā
mauj-dar-mauj the dukhoñ ke bhañvar
ham ne tanhā sabhī ko paar kiyā
jab banāyā thā chāñd itnā hasīñ
us kā anjām kyuuñ ġhubār kiyā
kya ghazab tu ne ai bahaar kiya
patti patti ko be-qarar kiya
ab to sach bolne ki rasm nahin
kis ne phir ehtimam-e-dar kiya
aatish-e-dard mein kami na hui
lakh aankhon ko ashk-bar kiya
raushni ki talash mein hum ne
barha zulmaton se pyar kiya
mauj-dar-mauj the dukhon ke bhanwar
hum ne tanha sabhi ko par kiya
jab banaya tha chand itna hasin
us ka anjam kyun ghubar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.