kya ghazab tu ne ye ai zauq-e-pasheman kar diya
kyā ġhazab tū ne ye ai zauq-e-pashemāñ kar diyā
merā aañsū un kī āñkhoñ se numāyāñ kar diyā
thā mujhe to ḳhair paiġhām-e-junūñ josh-e-bahār
gul pe kyā guzrī ki chaak us ne garebāñ kar diyā
ḳhanda-e-gul jalva-e-shabnam faroġh-e-māhtāb
maiñ ne jis manzar pe chāhā un ko uryāñ kar diyā
ye gul-e-ātish-ba-jāñ ye lāla-e-raushan-zamīr
ai nasīm-e-sub.h tū ne to charāġhāñ kar diyā
be-niyāz-e-mausam-e-gul thā mirā josh-e-junūñ
maiñ ne jis zarre ko Thukrāyā gulistāñ kar diyā
gar mirī jānib nazar uTThī zahe-qismat magar
tum ne ye kyā tiir sā juzv-e-rag-e-jāñ kar diyā
maiñ koī naqsh-e-kaf-e-pā thā sar-e-rāh-e-talab
aañkh abhī khulne na paa.ī thī ki hairāñ kar diyā
bil-yaqīñ laḳht-e-jigar apnā thā farzand-e-ḳhalīl
surḳh-rū dīda-e-tar hai hai ki qurbāñ kar diyā
sun rahā huuñ ġhunche ġhunche se anal-haq kī sadā
kyā mire dil ko ham-āġhosh-e-gulistāñ kar diyā
na.ara-e-rind-e-ḳharābātī na labbaik-e-haram
tū ne uTh kar bazm ko shahr-e-ḳhamoshāñ kar diyā
misl-e-gul maiñ to chaman meñ muskurāyā bhī nahīñ
phir mujhe kis jurm meñ tū ne pareshāñ kar diyā
haath bhī uThne na paayā thā Ba-hangām-e-junūñ
kahkashāñ ne hañs ke pesh apnā garebāñ kar diyā
shaam surma dar-gulū hai to sahar pamba-ba-gosh
kis jahāñ meñ 'faiz' ko tū ne ġhazal-ḳhvāñ kar diyā
kya ghazab tu ne ye ai zauq-e-pasheman kar diya
mera aansu un ki aankhon se numayan kar diya
tha mujhe to KHair paigham-e-junun josh-e-bahaar
gul pe kya guzri ki chaak us ne gareban kar diya
KHanda-e-gul jalwa-e-shabnam farogh-e-mahtab
main ne jis manzar pe chaha un ko uryan kar diya
ye gul-e-atish-ba-jaan ye lala-e-raushan-zamir
ai nasim-e-subh tu ne to charaghan kar diya
be-niyaz-e-mausam-e-gul tha mera josh-e-junun
main ne jis zarre ko Thukraya gulistan kar diya
gar meri jaanib nazar uTThi zahe-qismat magar
tum ne ye kya tir sa juzw-e-rag-e-jaan kar diya
main koi naqsh-e-kaf-e-pa tha sar-e-rah-e-talab
aankh abhi khulne na pai thi ki hairan kar diya
bil-yaqin laKHt-e-jigar apna tha farzand-e-KHalil
surKH-ru dida-e-tar hai hai ki qurban kar diya
sun raha hun ghunche ghunche se anal-haq ki sada
kya mere dil ko ham-aghosh-e-gulistan kar diya
nara-e-rind-e-KHarabaati na labbaik-e-haram
tu ne uTh kar bazm ko shahr-e-KHamoshan kar diya
misl-e-gul main to chaman mein muskuraya bhi nahin
phir mujhe kis jurm mein tu ne pareshan kar diya
hath bhi uThne na paya tha Ba-hangam-e-junun
kahkashan ne hans ke pesh apna gareban kar diya
sham surma dar-gulu hai to sahar pamba-ba-gosh
kis jahan mein 'faiz' ko tu ne ghazal-KHwan kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.