kya ghaTa aasman pe chhai hai
kyā ghaTā āsmāñ pe chhā.ī hai
jaise bhar kar sharāb laa.ī hai
maut se kar ke dil-lagī ham ne
zindagī se najāt paa.ī hai
thāme rakkhā tirī nigāhoñ ne
naav jab merī Dagmagā.ī hai
rashk karne lagī hai bād-e-sabā
jab ḳhizāñ par bahār aa.ī hai
mai se tauba to kar chuke the huzūr
tishnagī aap ne baḌhā.ī hai
ek bachche kī muskurāhaT meñ
kyā muqaddas kitāb paa.ī hai
ḳhat vo 'svāmī' paḌhe nahīñ jaate
buuñd aañsū kī jin meñ paa.ī hai
kya ghaTa aasman pe chhai hai
jaise bhar kar sharab lai hai
maut se kar ke dil-lagi hum ne
zindagi se najat pai hai
thame rakkha teri nigahon ne
naw jab meri Dagmagai hai
rashk karne lagi hai baad-e-saba
jab KHizan par bahaar aai hai
mai se tauba to kar chuke the huzur
tishnagi aap ne baDhai hai
ek bachche ki muskurahaT mein
kya muqaddas kitab pai hai
KHat wo 'swami' paDhe nahin jate
bund aansu ki jin mein pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.