kya guzar kijiye sayyaad-e-dil-azar ke pas
kyā guzar kījiye sayyād-e-dil-āzār ke paas
barg-e-gul pheñktā hai murġh-e-giraftār ke paas
tere bīmār kī bālīñ pe khaḌī hai hasrat
maut baiThī nazar aatī hai vo ġham-ḳhvār ke paas
baar baar aa ke vo Thahrāte haiñ saudā dil kā
ghar unhoñ ne jo banāyā hai to bāzār ke paas
shāḳh-e-gul dekh ke sāmān-e-ḳhalish yaad aayā
rakh diyā pārā-e-dil dil ko har ik ḳhaar ke paas
tere darvāza pe fitnoñ ne liyā dam aa kar
thak ke baiThī hai qayāmat tirī dīvār ke paas
zāhidā rahmat-e-bārī bhī ba-rañg-e-tauba
aa ga.ī TuuT ke rindān qadah-ḳhvār ke paas
merī ḳhvārī hī qayāmat meñ mire kaam aa.ī
koī aayā na 'vafā' mujh se gunahgār ke paas
kya guzar kijiye sayyaad-e-dil-azar ke pas
barg-e-gul phenkta hai murgh-e-giraftar ke pas
tere bimar ki baalin pe khaDi hai hasrat
maut baiThi nazar aati hai wo gham-KHwar ke pas
bar bar aa ke wo Thahraate hain sauda dil ka
ghar unhon ne jo banaya hai to bazar ke pas
shaKH-e-gul dekh ke saman-e-KHalish yaad aaya
rakh diya para-e-dil dil ko har ek KHar ke pas
tere darwaza pe fitnon ne liya dam aa kar
thak ke baiThi hai qayamat teri diwar ke pas
zahida rahmat-e-bari bhi ba-rang-e-tauba
aa gai TuT ke rindan qadah-KHwar ke pas
meri KHwari hi qayamat mein mere kaam aai
koi aaya na 'wafa' mujh se gunahgar ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.