kya haal-e-dil sunaun tujhe dekhne ke baad
kyā hāl-e-dil sunā.ūñ tujhe dekhne ke baad
vo dil kahāñ se lā.ūñ tujhe dekhne ke baad
dekhe baġhair the ka.ī shikve gile magar
kaise zabāñ pe lā.ūñ tujhe dekhne ke baad
mab.hūt ho gayā huuñ tirī ik jhalak se maiñ
lab kis tarah hilā.ūñ tujhe dekhne ke baad
duniyā kā zikr kyā hai ki ḳhud apne aap ko
mumkin hai bhuul jā.ūñ tujhe dekhne ke baad
sarshār ho gayā huuñ tirī ik nigāh se
ab kyā piyūñ pilā.ūñ tujhe dekhne ke baad
nazroñ meñ ishtiyāq-e-nazar hī nahīñ rahā
kis se nazar milā.ūñ tujhe dekhne ke baad
āsāñ the pahle saare masā.il mire liye
ab kuchh samajh na pā.ūñ tujhe dekhne ke baad
kis rāste se ho ke maiñ aaya nahīñ hai yaad
ab ghar ko kaise jā.ūñ tujhe dekhne ke baad
'rāhī' bhī mere saath thā dīdār meñ sharīk
ab kaise saath lā.ūñ tujhe dekhne ke baad
kya haal-e-dil sunaun tujhe dekhne ke baad
wo dil kahan se laun tujhe dekhne ke baad
dekhe baghair the kai shikwe gile magar
kaise zaban pe laun tujhe dekhne ke baad
mabhut ho gaya hun teri ek jhalak se main
lab kis tarah hilaun tujhe dekhne ke baad
duniya ka zikr kya hai ki KHud apne aap ko
mumkin hai bhul jaun tujhe dekhne ke baad
sarshaar ho gaya hun teri ek nigah se
ab kya piyun pilaun tujhe dekhne ke baad
nazron mein ishtiyaq-e-nazar hi nahin raha
kis se nazar milaun tujhe dekhne ke baad
aasan the pahle sare masail mere liye
ab kuchh samajh na paun tujhe dekhne ke baad
kis raste se ho ke main aaya nahin hai yaad
ab ghar ko kaise jaun tujhe dekhne ke baad
'rahi' bhi mere sath tha didar mein sharik
ab kaise sath laun tujhe dekhne ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.