kya hai gar be-sabaat hain hum log
kyā hai gar be-sabāt haiñ ham log
hāsil-e-kā.enāt haiñ ham log
sīna-e-vaqt meñ dhaḌakte haiñ
tāza-tar vārdāt haiñ ham log
ham se paatā hai nuur rū-e-sahar
vaise kahne ko raat haiñ ham log
ham se kuchh bhī nahīñ hai nā-mumkin
fāteh-e-mumkināt haiñ ham log
zaḳhm khāte haiñ muskurāte haiñ
ḳhūgar-e-hādsāt haiñ ham log
pyaas apnī bujhā nahī sakte
go ba-zāhir furāt haiñ ham log
apnī manzil nahīñ koī 'jauhar'
rah-guzār-e-hayāt haiñ ham log
kya hai gar be-sabaat hain hum log
hasil-e-kaenat hain hum log
sina-e-waqt mein dhaDakte hain
taza-tar wardat hain hum log
hum se pata hai nur ru-e-sahar
waise kahne ko raat hain hum log
hum se kuchh bhi nahin hai na-mumkin
fateh-e-mumkinat hain hum log
zaKHm khate hain muskuraate hain
KHugar-e-hadsat hain hum log
pyas apni bujha nahi sakte
go ba-zahir furaat hain hum log
apni manzil nahin koi 'jauhar'
rah-guzar-e-hayat hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.