kya hai hathon ki lakiron mein batao na mujhe
kyā hai hāthoñ kī lakīroñ meñ batāo na mujhe
ḳhvāb se pahle hī tā'bīr dikhāo na mujhe
ḳhūb-tar ḳhvāb se kyā hogā koī bhī jalva
TuuT jaa.eñ na mire ḳhvāb jagāo na mujhe
lo maiñ haT jaatā huuñ raste se tumhāre yaaro
shauq se aage nikal jaao girāo na mujhe
sirf sach bol ke ban jaa.e na suqrāt koī
mujh se kyā Dar hai tumheñ zahr pilāo na mujhe
she'r mere to haiñ bas harf-e-tasallī kī tarah
maiñ masīhā nahīñ suulī pe chaḌhāo na mujhe
ab na naġhma na koī giit hai baaqī mujh meñ
be-sadā saaz huuñ bekār bajāo na mujhe
kya hai hathon ki lakiron mein batao na mujhe
KHwab se pahle hi ta'bir dikhao na mujhe
KHub-tar KHwab se kya hoga koi bhi jalwa
TuT jaen na mere KHwab jagao na mujhe
lo main haT jata hun raste se tumhaare yaro
shauq se aage nikal jao girao na mujhe
sirf sach bol ke ban jae na suqraat koi
mujh se kya Dar hai tumhein zahr pilao na mujhe
she'r mere to hain bas harf-e-tasalli ki tarah
main masiha nahin suli pe chaDhao na mujhe
ab na naghma na koi git hai baqi mujh mein
be-sada saz hun bekar bajao na mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.