kya hai qismat mein qalb-e-mail ki
kyā hai qismat meñ qalb-e-mā.il kī
had nahīñ rañj ke vasā.il kī
dast-bardār hai masīhā.ī
dekh hālat ab apne ghā.il kī
vo ki har mas.ale kā mere hal
maiñ ki jaḌ us ke sab masā.il kī
kitnā phailā hai zahr vahshat kā
kitnī tāsīr ham ne zaa.il kī
kāsa-e-ishq meñ vafā kī bhiik
aur kyā aarzū thī saa.il kī
un kī zid kā thā sāmnā 'rāġhib'
dhajjiyāñ uḌ ga.iiñ dalā.il kī
kya hai qismat mein qalb-e-mail ki
had nahin ranj ke wasail ki
dast-bardar hai masihai
dekh haalat ab apne ghail ki
wo ki har masale ka mere hal
main ki jaD us ke sab masail ki
kitna phaila hai zahr wahshat ka
kitni tasir hum ne zail ki
kasa-e-ishq mein wafa ki bhik
aur kya aarzu thi sail ki
un ki zid ka tha samna 'raghib'
dhajjiyan uD gain dalail ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.