kya hamare shauq bhi wo kaj-ada le jaega
kyā hamāre shauq bhī vo kaj-adā le jā.egā
ham bhī jā.eñge jahāñ ab rāsta le jā.egā
yuuñ huā ki sab aqā.ed radd kar baiThā huuñ maiñ
dekhnā hai ab kahāñ shauq-e-ḳhudā le jā.egā
bosa le kar mere māthe kā kisī ne ye kahā
tū jahāñ bhī jā.egā mere havāle jā.egā
terī nādānī ye terā zo.am hai tū yaad rakh
ek hī aañsū tirī duniyā bahā le jā.egā
apnā kyā hai har nafas par ġhair kā ab aks hai
dushman-e-jānī bhī aayā to duā le jā.egā
kya hamare shauq bhi wo kaj-ada le jaega
hum bhi jaenge jahan ab rasta le jaega
yun hua ki sab aqaed radd kar baiTha hun main
dekhna hai ab kahan shauq-e-KHuda le jaega
bosa le kar mere mathe ka kisi ne ye kaha
tu jahan bhi jaega mere hawale jaega
teri nadani ye tera zoam hai tu yaad rakh
ek hi aansu teri duniya baha le jaega
apna kya hai har nafas par ghair ka ab aks hai
dushman-e-jaani bhi aaya to dua le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.