kya haqiqat mein nahin the ye saza-war tere
kyā haqīqat meñ nahīñ the ye sazā-vār tire
kyuuñ shifā-yāb na ho paa.e ye bīmār tire
abr kyā kyā na ināyāt ke barse lekin
jāñ-ba-lab aaj bhī haiñ tishna-e-dīdār tire
hai satā.ish kī tamannā na sile kī parvā
kis qadar sāda-tabī.at haiñ parastār tire
tujh se karte haiñ taqāzā tirī tasvīroñ kā
ham haqīqat meñ agarche haiñ talabgār tire
mar gayā kyā tirā shā.er tirā 'kausar'-niyāzī
suune suune se haiñ kyuuñ kūcha o bāzār tire
kya haqiqat mein nahin the ye saza-war tere
kyun shifa-yab na ho pae ye bimar tere
abr kya kya na inayat ke barse lekin
jaan-ba-lab aaj bhi hain tishna-e-didar tere
hai sataish ki tamanna na sile ki parwa
kis qadar sada-tabiat hain parastar tere
tujh se karte hain taqaza teri taswiron ka
hum haqiqat mein agarche hain talabgar tere
mar gaya kya tera shaer tera 'kausar'-niyazi
sune sune se hain kyun kucha o bazar tere
- Book : mata-e-sukhan (Pg. 346)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.