kya hi mil jaega tumko mujhe taDpane se
kyā hī mil jā.egā tum ko mujhe taḌpāne se
rokte kyoñ ho mujhe apne qarīb aane se
shahr vāloñ se kahā us ne uThā kar patthar
koī rishta hī nahīñ hai mirā dīvāne se
jannat-o-hūr ke qissoñ meñ mujhe uljhā kar
shaiḳh jī aap kahāñ chal diye maiḳhāne se
muñh se phir ḳhuun ugaltā hī phiregā shab-bhar
gar jo zāhid kabhī pī le mire paimāne se
ye mirā shauq mujhe aaj kahāñ le aaya
merī mayyat bhī uThī hai to kutub-ḳhāne se
mere hisse meñ jo chādar hai likhī tū ne ḳhudā
kam na paḌ jaa.e kahīñ paañv ko phailāne se
mujh ko ik ḳhvāb ne itnā hai rulāyā ki 'zuhaib'
ab to Dar lagtā hai palkoñ ko bhī jhapkāne se
kya hi mil jaega tum ko mujhe taDpane se
rokte kyon ho mujhe apne qarib aane se
shahr walon se kaha us ne uTha kar patthar
koi rishta hi nahin hai mera diwane se
jannat-o-hur ke qisson mein mujhe uljha kar
shaiKH ji aap kahan chal diye maiKHane se
munh se phir KHun ugalta hi phirega shab-bhar
gar jo zahid kabhi pi le mere paimane se
ye mera shauq mujhe aaj kahan le aaya
meri mayyat bhi uThi hai to kutub-KHane se
mere hisse mein jo chadar hai likhi tu ne KHuda
kam na paD jae kahin panw ko phailane se
mujh ko ek KHwab ne itna hai rulaya ki 'zuhaib'
ab to Dar lagta hai palkon ko bhi jhapkane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.