kya ho gaya hai tujhko mere dil sambhal sambhal
kyā ho gayā hai tujh ko mire dil sambhal sambhal
aise to paañv rakhte haiñ ġhāfil sambhal sambhal
laayā hai khīñch tum ko jahāñ zauq-e-mai-kashī
lagtī nahīñ ye dard kī mahfil sambhal sambhal
ik umr pā ke ḳhatm na ho jaa.e terā pyaar
hone lagī hai aarzū shāmil sambhal sambhal
Dūbegī rāh-e-shauq meñ le kar tujhe bhī saath
manzil hai terī raah meñ haa.il sambhal sambhal
jis nāḳhudā ko tū ne banāyā thā ham-safar
thāmā hai us ne dāman-e-sāhil sambhal-sambhal
toḌe haiñ jis ko paane kī ḳhātir hazār dil
manzil nahīñ hai dhokā hai ġhāfil sambhal sambhal
qurbān-gāh-e-gulshan-e-hastī meñ ai 'kañval'
baiThe haiñ phūl-phūl meñ qātil sambhal-sambhal
kya ho gaya hai tujh ko mere dil sambhal sambhal
aise to panw rakhte hain ghafil sambhal sambhal
laya hai khinch tum ko jahan zauq-e-mai-kashi
lagti nahin ye dard ki mahfil sambhal sambhal
ek umr pa ke KHatm na ho jae tera pyar
hone lagi hai aarzu shamil sambhal sambhal
Dubegi rah-e-shauq mein le kar tujhe bhi sath
manzil hai teri rah mein hail sambhal sambhal
jis naKHuda ko tu ne banaya tha ham-safar
thama hai us ne daman-e-sahil sambhal-sambhal
toDe hain jis ko pane ki KHatir hazar dil
manzil nahin hai dhoka hai ghafil sambhal sambhal
qurban-gah-e-gulshan-e-hasti mein ai 'kanwal'
baiThe hain phul-phul mein qatil sambhal-sambhal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.