kya hua hum pe jo is bazm mein ilzam rahe
kyā huā ham pe jo is bazm meñ ilzām rahe
sāhib-e-dil to jahāñ bhī rahe badnām rahe
koī taqrīb to ho dil ke bahalne ke liye
tū nahīñ hai to tirā zikr tirā naam rahe
ham ko to raas hī aa.ī kisī kamsin kī vafā
haa.e vo log mohabbat meñ jo nākām rahe
is irāde se uThāyā hai chhalaktā huā jaam
ham raheñ aaj ki ye gardish ayyām rahe
be-sabab koī navāzish nahīñ kartā 'sarshār'
dekheñ kyā un kī ināyāt kā anjām rahe
kya hua hum pe jo is bazm mein ilzam rahe
sahib-e-dil to jahan bhi rahe badnam rahe
koi taqrib to ho dil ke bahalne ke liye
tu nahin hai to tera zikr tera nam rahe
hum ko to ras hi aai kisi kamsin ki wafa
hae wo log mohabbat mein jo nakaam rahe
is irade se uThaya hai chhalakta hua jam
hum rahen aaj ki ye gardish ayyam rahe
be-sabab koi nawazish nahin karta 'sarshaar'
dekhen kya un ki inayat ka anjam rahe
- Book : Patthar Ki Lakiir II (Pg. 40)
- Author : Sarshar Siddiqui
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.