kya hua jo hayat fani hai
kyā huā jo hayāt faanī hai
ġham kā lamha to jāvedānī hai
zindagānī bahāl rakhne ko
saa.e piine haiñ dhuup khānī hai
koī chūme ki merī āñkhoñ meñ
jo sahīfa hai āsmānī hai
log ro.e lipaT ke sāyoñ se
qaht-e-insāñ kī ye nishānī hai
hamla-āvar badalte rahte haiñ
bastī lekin vahī purānī hai
dil bhī apnā nahīñ yahāñ 'anjum'
ye parinda bhī lā-makānī hai
kya hua jo hayat fani hai
gham ka lamha to jawedani hai
zindagani bahaal rakhne ko
sae pine hain dhup khani hai
koi chume ki meri aankhon mein
jo sahifa hai aasmani hai
log roe lipaT ke sayon se
qaht-e-insan ki ye nishani hai
hamla-awar badalte rahte hain
basti lekin wahi purani hai
dil bhi apna nahin yahan 'anjum'
ye parinda bhi la-makani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.