kya hua kyon ye suhani bastiyan bimar hain
kyā huā kyoñ ye suhānī bastiyāñ bīmār haiñ
kyoñ ye dil ke shahr ye ābādiyāñ bīmār haiñ
ek muddat se chaman meñ jaane par-basta haiñ kyoñ
gul hī kuchh be-kaif haiñ yā titliyāñ bīmār haiñ
yā kasāfat hai havā-e-tāza kī tāsīr meñ
yā hamāre ghar ke dar aur khiḌkiyāñ bīmār haiñ
Thahr ai shor-e-bahārāñ tham zarā hangām-e-shauq
ek muddat se tire shaidā yahāñ bīmār haiñ
kyā paḌhe āyāt-e-kāmil be-basar hai chashm-e-dil
kyā likheñgī ism-e-āzam uñgliyāñ bīmār haiñ
kya hua kyon ye suhani bastiyan bimar hain
kyon ye dil ke shahr ye aabaadiyan bimar hain
ek muddat se chaman mein jaane par-basta hain kyon
gul hi kuchh be-kaif hain ya titliyan bimar hain
ya kasafat hai hawa-e-taza ki tasir mein
ya hamare ghar ke dar aur khiDkiyan bimar hain
Thahr ai shor-e-bahaaran tham zara hangam-e-shauq
ek muddat se tere shaida yahan bimar hain
kya paDhe aayat-e-kaamil be-basar hai chashm-e-dil
kya likhengi ism-e-azam ungliyan bimar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.