kya hua maine use apni dua man liya
kya hua maine use apni dua man liya
Maqsood Alam Khan Alam Barelvi
MORE BYMaqsood Alam Khan Alam Barelvi
kyā huā maiñ ne use apnī duā maan liyā
mānñe vāloñ ne patthar ko ḳhudā maan liyā
jazba-e-dil kī haqīqat ko na samjhā koī
merī ulfat ko zamāne kī havā maan liyā
thā mirā zarf ki har zaḳhm tabassum laayā
be-vafā maiñ ne adāoñ ko jafā maan liyā
maiñ jo kartā huuñ tire naqsh-e-qadam par sajde
ye mirā pyaar hai kyoñ is ko ḳhatā maan liyā
aaj ġhairoñ kī tarah duur hai mujh se 'ālam'
shikva bejā to na thā us ne burā maan liyā
kya hua main ne use apni dua man liya
manne walon ne patthar ko KHuda man liya
jazba-e-dil ki haqiqat ko na samjha koi
meri ulfat ko zamane ki hawa man liya
tha mera zarf ki har zaKHm tabassum laya
be-wafa main ne adaon ko jafa man liya
main jo karta hun tere naqsh-e-qadam par sajde
ye mera pyar hai kyon is ko KHata man liya
aaj ghairon ki tarah dur hai mujh se 'alam'
shikwa beja to na tha us ne bura man liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.