kya hua markaz-e-hasti agar insan na hua
kyā huā markaz-e-hastī agar insāñ na huā
aabrū ḳhaak hai qatre kī jo tūfāñ na huā
saḳht mushkil hai ki himmat ye huī sahl-pasand
ġhair-mumkin rahā vo kaam jo āsāñ na huā
sharm bhī aatī hai ye kahte aur afsos bhī hai
aadmī yuuñ to sabhī kuchh huā insāñ na huā
jaama pahne rahā parvānoñ kī jāñ-bāzī kā
sho'la fānūs ke parde meñ bhī uryāñ na huā
kar gayā āñkhoñ ko ḳhīra vo faroġh-e-jalva
kis liye nūr-e-hudā parde meñ pinhāñ na huā
khel samjhā kiye 'ālam ke karishmoñ ko ham
dil-e-ḳhud-rafta kisī baat se hairāñ na huā
phir 'ajab kyā hai 'adam se jo huī dilchaspī
darḳhur-e-vus'at-e-dil ‘ālam-e-imkāñ na huā
haiñ mire dil meñ vo aa.heñ na baneñ jo bijlī
merī āñkhoñ meñ vo qatra hai jo tūfāñ na huā
hausla kis ko hai dil chiir ke dikhlā.ūñ kise
vo sharar is meñ hai jo sang meñ pinhāñ na huā
ġham rahā un ko jo dozaḳh meñ paḌe jalte haiñ
mere ḳhush hone kā jannat meñ bhī sāmāñ na huā
do jagah dair meñ yā daar pe tum 'kaifī' ko
kāfir-e-‘ishq kabhī dushman-e-īmāñ na huā
kya hua markaz-e-hasti agar insan na hua
aabru KHak hai qatre ki jo tufan na hua
saKHt mushkil hai ki himmat ye hui sahl-pasand
ghair-mumkin raha wo kaam jo aasan na hua
sharm bhi aati hai ye kahte aur afsos bhi hai
aadmi yun to sabhi kuchh hua insan na hua
jama pahne raha parwanon ki jaan-bazi ka
sho'la fanus ke parde mein bhi uryan na hua
kar gaya aankhon ko KHira wo farogh-e-jalwa
kis liye nur-e-huda parde mein pinhan na hua
khel samjha kiye 'alam ke karishmon ko hum
dil-e-KHud-rafta kisi baat se hairan na hua
phir 'ajab kya hai 'adam se jo hui dilchaspi
darKHur-e-wus'at-e-dil ‘alam-e-imkan na hua
hain mere dil mein wo aahen na banen jo bijli
meri aankhon mein wo qatra hai jo tufan na hua
hausla kis ko hai dil chir ke dikhlaun kise
wo sharar is mein hai jo sang mein pinhan na hua
gham raha un ko jo dozaKH mein paDe jalte hain
mere KHush hone ka jannat mein bhi saman na hua
do jagah dair mein ya dar pe tum 'kaifi' ko
kafir-e-‘ishq kabhi dushman-e-iman na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.