kya hua zindagi
kyā huā zindagī
muskurā zindagī
is taraf aa kabhī
dekh jā zindagī
ruk ga.ī kis liye
aazmā zindagī
maiñ nahīñ kah rahā
bevafā zindagī
mar ga.e log maiñ
jī rahā zindagī
mujh meñ kitnā lagā
dil tirā zindagī
aaj phir lag rahī
dilrubā zindagī
roz kā hai tirā
rūThnā zindagī
maut kī loriyāñ
mat sunā zindagī
aa jā mil kar kareñ
kuchh baḌā zindagī
kuchh ghaḌī aur Thahar
maan jā zindagī
kya hua zindagi
muskura zindagi
is taraf aa kabhi
dekh ja zindagi
ruk gai kis liye
aazma zindagi
main nahin kah raha
bewafa zindagi
mar gae log main
ji raha zindagi
mujh mein kitna laga
dil tera zindagi
aaj phir lag rahi
dilruba zindagi
roz ka hai tera
ruThna zindagi
maut ki loriyan
mat suna zindagi
aa ja mil kar karen
kuchh baDa zindagi
kuchh ghaDi aur Thahar
man ja zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.