kya hui meri jawani josh par aai hui
kyā huī merī javānī josh par aa.ī huī
haa.e vo nāzuk gulābī merī chhalkā.ī huī
jalva-gah meñ aaj ye kis kī tamāshā.ī huī
tuur se ham le ke aa.e aañkh pathrā.ī huī
hashr meñ fitnoñ se achchhī bazm-ārā.ī huī
aa ke duniyā ḳhud tamāshā ḳhud-tamāshā.ī huī
ye bhī shāmat thī mire a.amāl kī laa.ī huī
sab se pahle hashr ke din merī rusvā.ī huī
maiñ chalā dozaḳh ko lekin us kī rahmat dekh le
aañkh merī sū-e-kausar aaj lalchā.ī huī
us kī Thokar ke nishāñ sab ban ga.e dāġh-e-sujūd
ye jabīñ hai kis but-e-kāfir kī Thukrā.ī huī
hashr meñ qātil ne dekhī hai lahū kī koī chhīñT
sū-e-dāman kyuuñ jhukī hai aañkh sharmā.ī huī
tāzgī sī aa ga.ī un kā tabassum dekh kar
khil uThīñ kaliyāñ mire madfan kī murjhā.ī huī
rah ga.ī yād-e-javānī vo javānī ab kahāñ
dāġh-e-dāman hai miTe sar-josh chhalkā.ī huī
dekhte vo bhī to aa jaate zarūr āñkhoñ meñ ashk
dil se ruḳhsat is tarah dil kī shakebā.ī huī
ai qayāmat aa bhī terā ho rahā hai intizār
un ke dar par laash ik rakhī hai kafnā.ī huī
nīm-uryāñ kuchh numā.ish husn kī thī vasl meñ
chheḌne ko raat hiila un kī añgḌā.ī huī
ḳhaak phāñkī masjidoñ meñ jā rahe jab ham kabhī
mai-kadoñ meñ aa rahe to bāda-paimā.ī huī
har lahad se saaf miltā hai qayāmat kā javāb
ḳhaak dar-dar chhāntī hai un kī Thukrā.ī huī
manziloñ pīchhe haiñ rāh-e-ishq meñ farhād-o-qais
ye hañseñ us ko ab aisī merī rusvā.ī huī
rāt-din añgḌā.iyāñ vo leñ mirī āġhosh meñ
jin hasīnoñ ke liye paidā ye añgḌā.ī huī
vo bhī ghabrā.e hue thī baat bhī thī sharm kī
rah ga.ī hoñThoñ meñ dab kar hoñTh tak aa.ī huī
naam hai mai-e-bū nahīñ talḳhī nahīñ tezī nahīñ
muddatoñ zāhid ne pī hai merī khiñchvā.ī huī
hai numāyāñ aaj sab mīnā-parastoñ meñ 'riyāz'
jām-e-jam se baḌh ke qadr-e-jām-e-mīnā.ī huī
kya hui meri jawani josh par aai hui
hae wo nazuk gulabi meri chhalkai hui
jalwa-gah mein aaj ye kis ki tamashai hui
tur se hum le ke aae aankh pathrai hui
hashr mein fitnon se achchhi bazm-arai hui
aa ke duniya KHud tamasha KHud-tamashai hui
ye bhi shamat thi mere aamal ki lai hui
sab se pahle hashr ke din meri ruswai hui
main chala dozaKH ko lekin us ki rahmat dekh le
aankh meri su-e-kausar aaj lalchai hui
us ki Thokar ke nishan sab ban gae dagh-e-sujud
ye jabin hai kis but-e-kafir ki Thukrai hui
hashr mein qatil ne dekhi hai lahu ki koi chhinT
su-e-daman kyun jhuki hai aankh sharmai hui
tazgi si aa gai un ka tabassum dekh kar
khil uThin kaliyan mere madfan ki murjhai hui
rah gai yaad-e-jawani wo jawani ab kahan
dagh-e-daman hai miTe sar-josh chhalkai hui
dekhte wo bhi to aa jate zarur aankhon mein ashk
dil se ruKHsat is tarah dil ki shakebai hui
ai qayamat aa bhi tera ho raha hai intizar
un ke dar par lash ek rakhi hai kafnai hui
nim-uryan kuchh numaish husn ki thi wasl mein
chheDne ko raat hila un ki angDai hui
KHak phanki masjidon mein ja rahe jab hum kabhi
mai-kadon mein aa rahe to baada-paimai hui
har lahad se saf milta hai qayamat ka jawab
KHak dar-dar chhanti hai un ki Thukrai hui
manzilon pichhe hain rah-e-ishq mein farhad-o-qais
ye hansen us ko ab aisi meri ruswai hui
raat-din angDaiyan wo len meri aaghosh mein
jin hasinon ke liye paida ye angDai hui
wo bhi ghabrae hue thi baat bhi thi sharm ki
rah gai honThon mein dab kar honTh tak aai hui
nam hai mai-e-bu nahin talKHi nahin tezi nahin
muddaton zahid ne pi hai meri khinchwai hui
hai numayan aaj sab mina-paraston mein 'riyaz'
jam-e-jam se baDh ke qadr-e-jam-e-minai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.