kya ‘ilaj-e-gham ka bhi usko hunar aata nahin
kyā ‘ilāj-e-ġham kā bhī us ko hunar aatā nahīñ
chārāgar merī taraf kyoñ bhuul kar aatā nahīñ
rāsta dushvār hai kāñToñ-bharā bhī hai magar
'ishq kī rāhoñ meñ phūloñ kā safar aatā nahīñ
pyaar kā iz.hār kar do sāmne hai jān-e-man
aisā bhī hotā hai ye pal 'umr bhar aatā nahīñ
jo burā.ī ke muqābil aa ga.e maidān meñ
soch kar anjām un ke dil meñ Dar aatā nahīñ
dekh kar tasvīr dil bahlā rahe haiñ vāldain
lauT kar pardes se nūr-e-nazar aatā nahīñ
band kar Daalā gunāhoñ ne mirī rahmat kā baab
is liye merī du'āoñ meñ asar aatā nahīñ
kaT rahī hai 'umr apnī rāt-bhar jagte hue
is taraf lekin koī le kar sahar aatā nahīñ
vaqt-e-mushkil meñ hamesha sabr se hī kaam lo
vaqt se pahle to peḌoñ par samar aatā nahīñ
chhoḌ kar tum saath merā duur itnā ho ga.e
'yāsmīñ' saaya bhī ab mujh ko nazar aatā nahīñ
kya ‘ilaj-e-gham ka bhi us ko hunar aata nahin
chaaragar meri taraf kyon bhul kar aata nahin
rasta dushwar hai kanTon-bhara bhi hai magar
'ishq ki rahon mein phulon ka safar aata nahin
pyar ka izhaar kar do samne hai jaan-e-man
aisa bhi hota hai ye pal 'umr bhar aata nahin
jo burai ke muqabil aa gae maidan mein
soch kar anjam un ke dil mein Dar aata nahin
dekh kar taswir dil bahla rahe hain waldain
lauT kar pardes se nur-e-nazar aata nahin
band kar Dala gunahon ne meri rahmat ka bab
is liye meri du'aon mein asar aata nahin
kaT rahi hai 'umr apni raat-bhar jagte hue
is taraf lekin koi le kar sahar aata nahin
waqt-e-mushkil mein hamesha sabr se hi kaam lo
waqt se pahle to peDon par samar aata nahin
chhoD kar tum sath mera dur itna ho gae
'yasmin' saya bhi ab mujh ko nazar aata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.