kya irada hai mere yar kahan jata hai
kyā irāda hai mire yaar kahāñ jaatā hai
tez itnī hai jo raftār kahāñ jaatā hai
terī manzil to kisī aur taraf hai aur tū
ai mire qāfila-sālār kahāñ jaatā hai
aa zarā der kahīñ baiTh ke bāteñ kar leñ
chhoḌ bāzār ko bāzār kahāñ jaatā hai
phirtā rahtā hai mazāfāt meñ tere din-rāt
duur ab terā giraftār kahāñ jaatā hai
tere chehre kī chamak bol rahī hai ḳhud hī
is qadar ho ke ye tayyār kahāñ jaatā hai
pahle mumkin thā magar ab ye nahīñ hai mumkin
ab mire dil kā ye āzār kahāñ jaatā hai
maiñ chhupā.ūñ bhī to ye baat kahāñ chhuptī hai
sab ko ma.alūm hai bīmār kahāñ jaatā hai
kār-e-duniyā bhī nahīñ hai ye faqīrī bhī nahīñ
be-niyāz-e-kam-o-bisyār kahāñ jaatā hai
ye tire chalne kā andāz nahīñ hai bilkul
terā jaanā hai pur-asrār kahāñ jaatā hai
us kī taqdīr meñ likkhā hai jahāñ hai vahīñ ho
kisī jānib koī kohsār kahāñ jaatā hai
hai tujhe dhuup meñ jalne kā bahut shauq 'hanīf'
chhoḌ kar sāya-e-dīvār kahāñ jaatā hai
kya irada hai mere yar kahan jata hai
tez itni hai jo raftar kahan jata hai
teri manzil to kisi aur taraf hai aur tu
ai mere qafila-salar kahan jata hai
aa zara der kahin baiTh ke baaten kar len
chhoD bazar ko bazar kahan jata hai
phirta rahta hai mazafat mein tere din-raat
dur ab tera giraftar kahan jata hai
tere chehre ki chamak bol rahi hai KHud hi
is qadar ho ke ye tayyar kahan jata hai
pahle mumkin tha magar ab ye nahin hai mumkin
ab mere dil ka ye aazar kahan jata hai
main chhupaun bhi to ye baat kahan chhupti hai
sab ko malum hai bimar kahan jata hai
kar-e-duniya bhi nahin hai ye faqiri bhi nahin
be-niyaz-e-kam-o-bisyar kahan jata hai
ye tere chalne ka andaz nahin hai bilkul
tera jaana hai pur-asrar kahan jata hai
us ki taqdir mein likkha hai jahan hai wahin ho
kisi jaanib koi kohsar kahan jata hai
hai tujhe dhup mein jalne ka bahut shauq 'hanif'
chhoD kar saya-e-diwar kahan jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.