kya ishq hai jab ho jaega tab baat samajh mein aaegi
kyā ishq hai jab ho jā.egā tab baat samajh meñ aa.egī
jab zehn ko dil samjhā.egā tab baat samajh meñ aa.egī
pal meñ ḳhush pal meñ ranjīda aa.e na samajh meñ baat hai kyā
dil khil khil kar murjhā.egā tab baat samajh meñ aa.egī
gum-sum rahne kā kyā hai sabab hañstā hai akele meñ koī kab
jab koī dil ko churā.egā tab baat samajh meñ aa.egī
maiñ auroñ ko samjhātā thā ai ishq mujhe mālūm na thā
jab kuchh na samajh meñ aa.egā tab baat samajh meñ aa.egī
kyā aafat dil kā aana hai be-sūd abhī samjhānā hai
dil taḌpegā taḌpā.egā tab baat samajh meñ aa.egī
chhup-chhup kar dil kyoñ rotā hai kyā ālam-e-vahshat hotā hai
rah-rah kar jī ghabrā.egā tab baat samajh meñ aa.egī
kyā shai hai mohabbat kī ḳhushbū aatā hai nazar koī kyoñ har sū
āñkhoñ meñ koī bas jā.egā tab baat samajh meñ aa.egī
'rāġhib' mat pūchh hai raġhbat kyā iz.hār mohabbat kyā hai balā
ik lafz na muñh tak aa.egā tab baat samajh meñ aa.egī
kya ishq hai jab ho jaega tab baat samajh mein aaegi
jab zehn ko dil samjhaega tab baat samajh mein aaegi
pal mein KHush pal mein ranjida aae na samajh mein baat hai kya
dil khil khil kar murjhaega tab baat samajh mein aaegi
gum-sum rahne ka kya hai sabab hansta hai akele mein koi kab
jab koi dil ko churaega tab baat samajh mein aaegi
main auron ko samjhata tha ai ishq mujhe malum na tha
jab kuchh na samajh mein aaega tab baat samajh mein aaegi
kya aafat dil ka aana hai be-sud abhi samjhana hai
dil taDpega taDpaega tab baat samajh mein aaegi
chhup-chhup kar dil kyon rota hai kya aalam-e-wahshat hota hai
rah-rah kar ji ghabraega tab baat samajh mein aaegi
kya shai hai mohabbat ki KHushbu aata hai nazar koi kyon har su
aankhon mein koi bas jaega tab baat samajh mein aaegi
'raghib' mat puchh hai raghbat kya izhaar mohabbat kya hai bala
ek lafz na munh tak aaega tab baat samajh mein aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.