kyā  ishq  ke  uljhe  jaade  haiñ  manzil  kā  kahīñ  par  naam  nahīñ  
taqdīr  hai  aur  tadbīr  nahīñ  āġhāz  hai  aur  anjām  nahīñ  
ai  ashk  machaltī  chingārī  tū  dard  hai  ḳhud  paiġhām  nahīñ  
āñkhoñ  meñ  kabhī  palkoñ  pe  kabhī  tujh  ko  bhī  kahīñ  ārām  nahīñ  
dam  bhar  kī  hañsī  dam  bhar  kī  ḳhushī  ye  bhī  to  dil-e-nākām  nahīñ  
is  chaltī-phirtī  duniyā  meñ  sab  kuchh  hai  magar  ārām  nahīñ  
ye  pher  mohabbat  ke  tauba  ā.īn-e-jafā  bhī  aam  nahīñ  
qātil  kī  chhurī  par  ḳhuuñ  to  hai  qātil  pe  magar  ilzām  nahīñ  
qismat  kī  lakīreñ  dekh  to  leñ  tahrīr  magar  ye  aam  nahīñ  
is  ḳhat  ko  bhalā  kyoñ  kar  samjheñ  jis  ḳhat  meñ  hamārā  naam  nahīñ  
āñkhoñ  ke  gulābī  Doroñ  meñ  ik  kaif  sā  paayā  jaatā  hai  
mai-ḳhvār-e-mohabbat  hosh  meñ  aa  saaqī  kī  nazar  hai  jaam  nahīñ  
duniyā  ke  bhare  bāzāroñ  meñ  yuuñ  suntā  huuñ  apnā  afsāna  
jaise  ki  ye  merā  zikr  nahīñ  jaise  ki  ye  merā  naam  nahīñ  
ye  joshish-e-girya  tanhā.ī  ye  pichhle  pahar  kā  sannāTā  
ashkoñ  meñ  mujhe  kah  lene  do  ye  ḳhaas  hai  qissa  aam  nahīñ  
nazroñ  meñ  tasādum  dil  meñ  chubhan  ik  sham.a  hai  ik  parvāna  hai  
donoñ  hī  meñ  bāteñ  hotī  haiñ  āvāz  kā  lekin  naam  nahīñ  
bijlī  kī  chamak  meñ  sho.ale  haiñ  phūloñ  kī  hañsī  meñ  aañsū  haiñ  
ye  'fazl'  vafā  kī  duniyā  hai  phir  bhī  to  vafā  kā  naam  nahīñ  
kya  ishq  ke  uljhe  jade  hain  manzil  ka  kahin  par  nam  nahin  
taqdir  hai  aur  tadbir  nahin  aaghaz  hai  aur  anjam  nahin  
ai  ashk  machalti  chingari  tu  dard  hai  KHud  paigham  nahin  
aankhon  mein  kabhi  palkon  pe  kabhi  tujh  ko  bhi  kahin  aaram  nahin  
dam  bhar  ki  hansi  dam  bhar  ki  KHushi  ye  bhi  to  dil-e-nakaam  nahin  
is  chalti-phirti  duniya  mein  sab  kuchh  hai  magar  aaram  nahin  
ye  pher  mohabbat  ke  tauba  aain-e-jafa  bhi  aam  nahin  
qatil  ki  chhuri  par  KHun  to  hai  qatil  pe  magar  ilzam  nahin  
qismat  ki  lakiren  dekh  to  len  tahrir  magar  ye  aam  nahin  
is  KHat  ko  bhala  kyon  kar  samjhen  jis  KHat  mein  hamara  nam  nahin  
aankhon  ke  gulabi  Doron  mein  ek  kaif  sa  paya  jata  hai  
mai-KHwar-e-mohabbat  hosh  mein  aa  saqi  ki  nazar  hai  jam  nahin  
duniya  ke  bhare  bazaron  mein  yun  sunta  hun  apna  afsana  
jaise  ki  ye  mera  zikr  nahin  jaise  ki  ye  mera  nam  nahin  
ye  joshish-e-girya  tanhai  ye  pichhle  pahar  ka  sannaTa  
ashkon  mein  mujhe  kah  lene  do  ye  KHas  hai  qissa  aam  nahin  
nazron  mein  tasadum  dil  mein  chubhan  ek  shama  hai  ek  parwana  hai  
donon  hi  mein  baaten  hoti  hain  aawaz  ka  lekin  nam  nahin  
bijli  ki  chamak  mein  shoale  hain  phulon  ki  hansi  mein  aansu  hain  
ye  'fazl'  wafa  ki  duniya  hai  phir  bhi  to  wafa  ka  nam  nahin  
 
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.